Bhigi Raahe
yuhi bhigte bhigte raatome mil bethe unse
hasin najaaro sa manjar jannat ho jaise
baarish ki bunde asmaan se gir rahi thi
aur wahi bunde hame bhigaa rahi thi
ek taraf bhiga hua wo,dusri taraf bhiga hua me
aur bhig rahin ashqo se meri palake
girti hui wo bunde jameen par dod rahi
dodati dodati nadiya dariya talaash rahi
ki kaash koi nadiya mil jaaye mujhe
aur samandar tak le jaaye mujhe
aisi hi tadpan meri rooh ki hone lagi
jabse usko dekha wo bechen hone lagi
oh karim is jameen ko is kadar bigaa de
taaki beh kar mera katra mil jaaye tujhme
yu kab tak me rahuga gunaaho ke naale me
aa jaaye selaab ho beh jaau is kaadar me
ki gunaho ki janjiro se azaadi mil jaaye
ya shah karim mujhe teri panaah mil jaaye
isi khyalo me jab aankh khuli to sukoon paaya
hote huye saat samandar paar tuje najdik paaya
yeh tere mere khyaalo ke darmiyan rishta paaya
kaash kaash me baitul khyaal ko samaj paaya
ya karim is tarah tune khyaalo se bhijaaya mujhe
tu ilm o karam se bhi bhigaade mujhe
le aa selaab tere ilm o amal kaa mere jahaan me
ki saahil ko chhod dariya e ishq me dub jaau me
yuhi nahi bhigte bhigte raato me mil baithe tujhme
yeh karam hai tera tabhi raahe meri jud rahi tujhse